Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб भले दिनों की बात है ,भली सी एक शक्ल थी - AHMED FARAZ . в хорошем качестве

भले दिनों की बात है ,भली सी एक शक्ल थी - AHMED FARAZ . 1 год назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



भले दिनों की बात है ,भली सी एक शक्ल थी - AHMED FARAZ .

Meaning of difficult urdu Words: poetry by ahmed faraz : Bhale dinon ki baat hai Bhali si ek shakl thi Na yeh ke husn e taam (bhot khoobsurat) ho Na dekhne mein aam si Na yeh ke voh chale toh Kehkasha(stars/galaxy) si rahguzar(way) lge Magar voh sath ho toh fir bhala bhala Safar lge. Koi b ruth( gandgi) ho uski chhab(decoration) Faza ka rang roop thi Voh garmiyon ki chhaw thi Voh sardiyon ki dhoop thi Na muddaton(for long) juda rahe Na sath subh o shaam ho Na rishta e wafa pe zidd Na yeh k izn e aam( khuli azadi) ho Na aisi khush libasiyan(too dressed) Ke saadgi gila kare Na itni betakallufi (boldness) Ke aaina haya kare. Na ikhtilaat( mardaangi) mein voh rum Ke bad maza ho khwaishein. Na is qadr sapurdgi ( saup dena) ke zach kare nawazishein. Na aashiqi junoon ki Ke zindagi azaab ho, Na iss qadr kathorpan ke dosti kharab ho. Kabhi toh baat bhi kafi ( chup hui) Kabhi sukut(khamoshi) bhi sukhan (baat) Kbhi toh kisht e zaafran ( too happiness) Kbhi udaasiyon ka ban(scene) Suna h ek umr h Muamlaat e dil ki bhi, Wisal e jaan (paa lenaki) fiza toh kya Firaq e jaan (bichad janeki) gusil ki bhi. So ek roz kya hua wafa pe behes chhid gayi Mein ishq ko amar kahun Voh meri zidd se chidd gayi Mein ishq ka aseer ( qaidi ) tha Voh ishq ko qafas ( qaid) kahe K umr bhr ke saath ko Voh bad taras hawas ( worst lust) kahe Shajar hajar ( pathar-wathar) nahi k hum Hamesha paa baa gil rahein (pairon me rahe) Na dhor ( animal) h ki rassiyan Gale mein mustakil( hmesha) rahe. Mohobbaton ki wus-atein ( expenses) Hamare dast o paa(hath aur pair) mein hain Bas ek dar se nisbatein( results) Sagaan e bawafa (loyals) mein hain Mein koi painting nahi k ek frame mein rahun Wahi jo mann ka meet ho Usi ke prem me rahun. Tumhari soch jo bhi ho Mein iss mizaj ki nahi Mujhe wafa se bair h Yeh baat aaj ki nahi. Na uss ko mujh pe maan( umeed) tha Na mujh ko uspe zaum (pride) bhi Jab ehed( promise) hi koi na ho Toh kya ghum e shikastagi ( failure ka ghum) Toh apna apna rasta hasi khushi badal diya Voh apni rah chal pdi Mein apni raah chal diya Bhali si ek shakl thi Bhali si uski dosti Ab uski yaad raat dinnn...? Nahi.Magar Kabhi kabhi. #poetry #amhedfaraz #podcast

Comments