Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео




Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



Rukhsat Hua Toh Aankh Mila Kar Nahi Gaya | Shehzad Ahmed

Poet: Shehzad Ahmed رخصت ہوا تو آنکھ ملا کر نہیں گیا وہ کیوں گیا ہے یہ بھی بتا کر نہیں گیا وہ یوں گیا کہ باد صبا یاد آ گئی احساس تک بھی ہم کو دلا کر نہیں گیا یوں لگ رہا ہے جیسے ابھی لوٹ آئے گا جاتے ہوئے چراغ بجھا کر نہیں گیا بس اک لکیر کھینچ گیا درمیان میں دیوار راستے میں بنا کر نہیں گیا شاید وہ مل ہی جائے مگر جستجو ہے شرط وہ اپنے نقش پا تو مٹا کر نہیں گیا گھر میں ہے آج تک وہی خوشبو بسی ہوئی لگتا ہے یوں کہ جیسے وہ آ کر نہیں گیا تب تک تو پھول جیسی ہی تازہ تھی اس کی یاد جب تک وہ پتیوں کو جدا کر نہیں گیا رہنے دیا نہ اس نے کسی کام کا مجھے اور خاک میں بھی مجھ کو ملا کر نہیں گیا ویسی ہی بے طلب ہے ابھی میری زندگی وہ خار و خس میں آگ لگا کر نہیں گیا شہزادؔ یہ گلہ ہی رہا اس کی ذات سے جاتے ہوئے وہ کوئی گلہ کر نہیں گیا Rukhsat hua to aankh mila kar nahi gaya Woh kyun gaya hai yeh bhi bata kar nahi gaya Woh yun gaya ke baad-e-saba yaad aa gayi Ehsaas tak bhi hum ko dila kar nahi gaya Yun lag raha hai jaise abhi laut aaye ga Jaate hue chiraagh bujha kar nahi gaya Bas ek lakeer kheench gaya darmiyan mein Deewaar raaste mein bana kar nahi gaya Shaayad woh mil hi jaaye magar jastaju hai shart Woh apne naqsh-e-paa to mita kar nahi gaya Ghar mein hai aaj tak wohi khushboo basi hui Lagta hai yun ke jaise woh aa kar nahi gaya Tab tak to phool jaisi hi taazah thi us ki yaad Jab tak woh patiyon ko juda kar nahi gaya Rehne diya na us ne kisi kaam ka mujhe Aur khaak mein bhi mujh ko mila kar nahi gaya Waisi hi be talab hai abhi meri zindagi Woh khaar-o-khas mein aag laga kar nahi gaya Shehzad yeh gila hi raha us ki zaat se Jaate hue woh koi gila kar nahi gaya

Comments