У нас вы можете посмотреть бесплатно हमने सुना था एक हैं भारतHD - दीदी - सुनील दत्त- मोहम्मद रफ़ी, आशा भोसले- Patriotic Song- Old Is Gold или скачать в максимальном доступном качестве, которое было загружено на ютуб. Для скачивания выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru
Song:- Humne Suna Tha Ek Hai Bharat Singer(s):- Mohammed Rafi, Asha Bhosle Movie:- Didi (1959) Music Director:- Datta Naik #GaaneSuneAnsune #IndependenceDaySongs #PatrioticSongs #SunilDutt #Didi #OldSongs Lyrics:- Hum Ne Suna Tha Ek Hai Bharat Sab Mulkon Se Nek Hai Bharat Lekin Jab Nazdeek Se Dekha Soch Samajh Kar Theek Se Dekha Hum Ne Naqshe Aur Hi Paye Badle Huye Sab Taur Hi Paye Ek Se Ek Ki Baat Juda Hai Dharma Juda Hai Zaat Juda Hai Aap Ne Jo Kuch Hum Ko Padhaya Wo To Kahin Bhi Nazar Na Aaya Jo Kuch Maine Tum Ko Padhaya Us Mein Kuch Bhi Jhoot Nahin Aasha Se Bhasha Na Miley To Is Ka Matlab Phoot Nahin Ik Daali Par Reh Kar Jaise Phool Judaa Hain Paat Juda Bura Nahin Gar Yun Hi Watan Mein Dharm Juda Ho Zaat Juda Apne Watan Mein Wahi Hai Jab Quran Ka Kehna Jo Hai Ved Puraan Ka Kehna Phir Yeh Shor Sharaba Kyun Hai Itna Khoon Kharaba Kyun Hai Apne Watan Mein Sadiyon Tak Is Desh Mein Bachchon Rahi Hukumat Gairon Ki Abhi Talak Hum Sab Ke Munh Par Dhool Hai Unke Pairon Ki Ladwao Aur Raaj Karo Yeh Un Logon Ki Hikmat Thi Un Logon Ki Chaal Mein Aana Hum Logon Ki Zillat Thi Yeh Jo Bair Hai Ik Duje Se Yeh Jo Photo Aur Ranjish Hai Unhi Videshi Aaqaon Ki Sochi Samjhi Bakhshish Hai Apne Watan Mein Kuch Insaan Brahman Kyun Hain Kuch Insaan Harijan Kyun Hain Ek Ki Itni Izzat Kyun Hai Ek Ki Itni Zillat Kyun Hai Dhan Aur Gyaan Ko Taaqat Walon Ne Apni Jaageer Kahaa Mehnat Aur Ghulaami Ko Kamzoron Ki Taqdeer Kaha Insanon Ka Yeh Batwaara Vehshat Aur Jahalat Hai Jo Nafrat Ki Shiksha De Wo Dharma Nahin Hai Laanat Hai Janam Se Koyi Neech Nahin Hai Janam Se Koyi Mahaan Nahin Karam Se Badh Kar Kisi Manushya Ki Koyi Bhi Pehchaan Nahin Ab To Desh Mein Azaadi Hai Ab Kyun Janta Fariyaadi Hai Kab Jayega Daur Puraana Kab Aayega Naya Zamana Sadiyon Ki Bhookh Aur Bekaari Kya Ik Din Mein Jayegi Is Ujde Gulshan Par Rangat Aate Aate Aayegi. Ye Jo Naye Mansube Hai Aur Ye Jo Nayi Tamire Hai Aane Wale Daur Ki Kuch Dhundhli Dhundhli Tasvire Hai Tum Hi Rang Bharoge Inme Tum Hi Inhe Chamkaoge Navyug Aap Nahi Aayega Navyug Aap Nahi Aayega Navyug Ko Tum Laoge