Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб Houston (USA) Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira в хорошем качестве

Houston (USA) Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira 7 месяцев назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



Houston (USA) Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Rahat Indori Books - https://amzn.to/32vaVvN Gulab khwab dawa zahar jaam kya kya hai Main aa gaya hu bata intezam kya kya hai Fakir shah kalandar imam kya kya hai Tujhe pata nahi tera gulam kya kya hai - Naye safar ka naya intezaam keh denge Hawa ko dhoop charagon ko shaam keh denge Kisi se haath bhi chhupkar milaiye warna Ise bhi maulvi sahab haraam keh denge - Loo bhi chalti thi to wo baad-e-saba kehte the Paanv failaye andheron ko ziya kehte the Unka anjaam tujhe yaad nahi hai shayad Aur bhi log the jo khud ko khuda kehte the - Suraj sitare chand mere sath me rahe Jab tak tumhare hath mere hath me rahe Shakhon se toot jaye wo patte nahi hain hum Aandhi se koi keh de ke aukat me rahe - Kabhi mehek ki tarah hum gulon se udte hain Kabhi dhue ki tarah parbaton se udte hain Ye kainchiyan hume udne se khaak rokengi Ke hum paron se nahin hauslon se udte hain - Lave diyon ki hawa me uchhalte rehna Gulon ke rang pe tezab dalte rehna Main noor banke zamane me fail jaunga Tum aftab me keede nikalte rehna - Ab apni rooh ke chhalon ka kuch hisaab karu Main chahta tha charagon ko aaftab karu Us aadmi ko bas ek dhun sawar rehti hai Bahot haseen hai duniya ise kharab karu Ye zindagi jo mujhe karzdar karti rahi Kabhi akele me mil jaye to hisab karu - Jhoothon ne jhoothon se kaha hai sach bolo Sarkari elaan hua hai sach bolo Ghar ke andar jhoothon ki ek mandi hai Darwaze par likha hua hai sach bolo Guldaste par yakjahti likh rakha hai Guldaste ke andar kya hai sach bolo Ganga mayya doobne wale apne the Naav me kisne chhed kiya hai sach bolo - Siyasat me zaruri hai rawadari samajhta hai Wo roza to nahi rakhta par aftari samajhta hai Achanak bansuri se dard ki lehren ubharti hain Guzarti hai jo Radha par wo Girdhari samajhta hai - Khushk dariyaon me halki si rawani aur hai Ret ke niche abhi thoda sa pani aur hai Ek kahaani khatm karke wo bahot hai mutmayin Bhool baitha hai ke aage ek kahaani aur hai Jo bhi milta hai use apna samajh leta hu main Ek bimari mujhe ye khandani aur hai Boriye par baithiye kulhad me pani pijiye Hum qalandar hain hamari mezbani aur hai - Ye barf raate bhi bankar abhi dhuan ud jaye Wo ek lihaf main odhu to sardiyan ud jaye Bahot guroor hai dariya ko apne hone par Jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan ud jaye Hawayein baaz kaha aati hai shararat se Saro pe hath na rakhein to pagdiyan ud jaye Rahe khayal ke mazzub e ishq hain hum log Agar zameen se phuke to aasman ud jaye Bikhar bikhar si gayi hai kitab sanson ki Ye kagzat khuda jane kab kaha ud jaye - Charagon ko uchhala ja raha hai Hawa par raub dala ja raha hai Mere jhoothe gilason ki chakha kar Behekton ko sambhala ja raha hai Na haar apni na apni jeet hogi Magar sikka uchhala ja raha hai Hamin buniyad ka patthar hain Lekin humein ghar se nikala ja raha hai Janaze par likh dena yaaron Mohabbat karne wala ja raha hai - Andar ka zahar choom liya dhul ke aa gaye Kitne shareef log the sab khul ke aa gaye Suraj se jung jeetne lage the bevakuf Sare sipahi mom ke the ghul ke aa gaye - Ye alag baat ke khamosh khade rehte hain Phir bhi jo log bade hain wo bade rehte hain Aise darveshon se milta hai hamara shijra Jinke juton me kai taj pade rehte hain - Mujhme kitne raaz hain batlaun kya Band ek muddat se hoon khul jaun kya Ajizi minnat khushamad ilteja Aur main kya kya karu mar jaun kya Ek patthar hai wo meri raah ka Agar na thukrau to thokar khau kya Tere jalse me tera parcham liye Sekdon laashein bhi hain ginwau kya Phir jagaya tune soye sher ko Phir wahi lehja darazi aau kya - Agar khilaf hain hone do jaan thodi hai Ye sab dhuan hai koi aasman thodi hai Lagegi aag to ayenge ghar kai zad me Yahan pe sirf hamara makaan thodi hai Hamare munh se jo nikle wahi sadakat hai Hamare munh me tumhari zabaan thodi hai Main janta hoon ke dushman bhi kam nahin lekin Hamari tarah hatheli pe jaan thodi hai Jo aaj sahib e masnad hain kal nahin honge Kirayedar hain zati makaan thodi hai Sabhi ka khoon hai shamil yahaan ki mitti me Kisi ke baap ka Hindostan thodi hai #RahatIndori #rahatkishayari

Comments