Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб Kathak & Urdu Poetry: A Tribute by Shinjini Kulkarni to Josh Malihabadi & Iqbal Asshar в хорошем качестве

Kathak & Urdu Poetry: A Tribute by Shinjini Kulkarni to Josh Malihabadi & Iqbal Asshar 2 месяца назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



Kathak & Urdu Poetry: A Tribute by Shinjini Kulkarni to Josh Malihabadi & Iqbal Asshar

Step into the magical world where Kathak dance meets the poetic brilliance of Josh Malihabadi and Iqbal Asshar. Through this special performance, I bring their iconic verses to life, blending rhythm, emotion, and language. Key Moments: 0:00 Dance Performance Begins 1:45 Nazm Apni Malka-e-Sukhan Se by Josh Malihabadi “Dariya ka mod, naghma-e-shirin ka zer-o-bam, chadar shab-e-nujum ki shabnam ka rakht-e-nam…” These powerful lines evoke the delicate beauty of the Urdu language and its profound cultural roots. 7:05 Nazm Urdu Hai Mera Naam by Iqbal Asshar “Urdu hai mera naam main 'Khusraw' ki paheli, Main 'Mir' ki hamraaz hun 'Ghalib' ki saheli...” A beautiful tribute to the Urdu language and its rich literary legacy, celebrating its deep history and charm. This performance is my way of celebrating both the grace of Kathak and the timeless legacy of Urdu poetry. Let’s preserve and honor these art forms together. 1:45 Nazm Apni Malka-e-Sukhan Se was written by Josh Mallihabadi. Recited By Muzaffar Ali. dariya ka moD naghma-e-shirin ka zer-o-bam chadar shab-e-nujum ki shabnam ka raKHt-e-nam moti ki aab gul ki mahak mah-e-nau ka KHam in sab ke imtizaj se paida hui hai tu kitne hasin ufuq se huwaida hui hai tu lahja malih hai ki namak-KHwar hun tera sehhat zaban mein hai ki bimar hun tera sayyaad-e-sher hun ki giraftar hun tera tere karam se sher-o-adab ka imam hun shahon pe KHanda-zan hun ki tera ghulam hun 7:05- Nazm Urdu Hai Mera Naam | Written by Iqbal Asshar | Recited By Huma Khalil urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli main 'mir' ki hamraaz hun 'ghaalib' ki saheli dakkan ke 'wali' ne mujhe godi mein khelaya 'sauda' ke qasidon ne mera husn baDhaya hai 'mir' ki azmat ki mujhe chalna sikhaya main dagh ke aangan mein khili ban ke chameli urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli 'ghaalib' ne bulandi ka safar mujh ko sikhaya 'haali' ne murawwat ka sabaq yaad dilaya 'iqbaal' ne aaina-e-haq mujh ko dikhaya 'momin' ne sajai mere KHwabon ki haweli urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli hai 'zauq' ki azmat ki diye mujh ko sahaare 'chakbast' ki ulfat ne mere KHwab sanware 'fani' ne sajae meri palkon pe sitare 'akbar' ne rachai meri be-rang hatheli urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli kyun mujh ko banate ho tassub ka nishana main ne to kabhi KHud ko musalman nahin mana dekha tha kabhi main ne bhi KHushiyon ka zamana apne hi watan mein hun magar aaj akeli urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli #KathakDance #UrduPoetry #JoshMalihabadi #IqbalAsshar #ShinjiniKulkarni #UrduHaiMeraNaam #CulturalLegacy #DanceAndPoetry

Comments