Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho - Ali Rizvi Sachay в хорошем качестве

Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho - Ali Rizvi Sachay 3 года назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho - Ali Rizvi Sachay

Noha: Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho - Ali Rizvi Sachay and Team Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho Jis Ghari Chaara Garay Dard E Nehaan Koyi Na Ho Humsafar Koyi Na Ho Rahat E Jaan Koyi Na Ho Kaam Aatay Hain Wahan Ashk Jahaan Koyi Na Ho Bay Saharon Ka Sahara Bhi Madadgaar Bhi Hai Dhaal Bhi Hai Yehi Mazloom Ki Talwar Bhi Hai Jis Ko Ehsaas E Mohabbat Hai Voh Royega Zaroor Jis Kay Seenay Mein Haraarat Hai Voh Royega Zaroor Dard Jis Dil Mein Amanat Hai Voh Royega Zaroor Jis Ko Kuch Khauf E Mashiat Hai Voh Royega Zaroor Waqt Parh Jaye Toh Har Ahl E Zameen Rota Ha Sirf Shaitan Zamanay Mein Nahi Rota Hai Ashk Kamzor Kay Iraadon Ke Alamat Hain Agar Girya Kun Qaum Zamanay Mein Hai Zinda Kyun Kar Gham Kay Takraey Hain Dunya Mein Wohee Deeda E Tar Shaam O Baghdad Ki Tareekh Se Poocho Ja Kar Haan Ye Sach Hai Ke Rahay Zulm Mein Agay To Na Thay Ronay Walay Kabhi Maidaan Se Bhagay Toh Na Thay Kehtay Ho Khauf Ki Bunyad Hai Ye Ashk E Rawaan Tum Nay Dekha Nahi Shayad Abhi Andaaz E Fughaan Hotay Hain Taighon Ki Jhankaar Mein Hum Noha Kunaan Kartay Hain Tazkira E Dard Sar E Nok E Sinaan Pasti E Seerat O Kirdar Mein Rotay Nahi Hum Darkay Faujon Se Kabhi Ghaar Mein Rotay Nahi Hum Kaun Rokay Ga Issay Sabr Ka Ye Dhaara Hai Ab Ye Gham Azmat E Kirdaar Ka Minara Hai Kahin Shabnam Kahin Moti Hai Kahin Taara Hai Ab Toh Har Ashk Dehekta Huwa Angaara Hai Gham E Shabbir Se Takra Ke Pigal Jaaogay Haath Rakhogay Inn Ashkon Pe Toh Jal Jaaogay Kya Kaha Jurm Hai Islam Mein Ye Ashk E Rawaan Kya Kaha Deen Mein Bidat Ha Ghareebon Ki Zaban Kya Kaha Haq Ka Gunahgaar Hai Har Noha Kunaan Gham Ki Tauheen Bohot Kar Chukay Aye Ahl E Jahan Apnay Khud Saakhta Fatwon Ki Dukaan Band Karo Sun Na Lein Madar E Shabbir Zubaan Band Karo Voh Bhi Din Thay Kay Inn Ashkon Pay Lagay Thay Pehray Hukm Tha Dard Ke Maaron Ko Kay Ansoo Na Bahay Al Atash Ki Lab E Tashna Pe Sada Aa Na Sakay Laash Pamal Ho Bhai Ki Behen Uff Na Karay Daagh Mamta Ka Kalejay Se Na Dhonay Paaye Maa Jawan Laal Ki Mayyat Pe Na Ronay Paaye Sogaya Raat Ki Baahon Mein Jo Maidaan E Bala Aur Mazloom Sakina Ko Pidar Yaad Aaya Nikli Khaimay Ke Andheron Se Woh Masroof E Buqa Har Qadam Par Ye Sada Thi Ke Kahan Ho Baba Bhoolay Iss Pyasi Ko Abbas E Dilawar Ki Tarah Tum Bhi Maidaan Se Na Lautay Ali Akbar Ki Tarha Paani Deta Hai Koyi Aur Na Ghiza Deta Hai Maa Ki Godi Mein Jo Bethoon Toh Uttha Deta Hai Jo Bhi Aata Hai Tamaacha Woh Laga Deta Hai Bay Pidar Dekh Ke Har Aik Saza Deta Hai Bachkay Jaltay Huway Khaimon Se Kidhar Jaati Mein Phuppi Amma Na Bacha Leti Toh Mar Jaati Mein Koyi Sunta Nahi Faryaad Bilakti Hoon Mein Ab Toh Khaimon Ki Taraf Dekh Ke Darti Hoon Mein Aap Ki Raah Barhi Der Se Takti Hoon Mein Jaantay Ho Ke Kayi Roz Ki Pyasi Hoon Mein Gham Naseebon Ko Dam E Aab O Ghiza Kuch Na Mila Hogayi Shaam Tamachon Ke Siva Kuch Na Mila Uff Woh Nanni Si Musafar Woh Rahay Gham Ka Safar Ya Ali Kehti Thi Ghabraa Kay Jo Lagti Thokar Aati Thi Thi Bun Ki Hawaon Mein Jo Khushbu E Pidar Mutmain Ho Ke Teher Jaata Tha Tha Nanna Sa Jigar Kehti Thi Bun Mein Balaaon Ka Basera Hai Bohot Ungliyaan Thaam Lo Baba Ke Andhera Hai Bohot Kabhi Kehti Thi Mujhay Paas Sula Lo Baba Apni Agosh Mein Bekas Ko Chupa Lo Baba Sogaya Hai Kahin Jangal Mein Uttha Lo Baba Mere Nannay Ali Asghar Ko Bula Lo Baba Woh Fughaan Thi Ke Fiza Dasht Ki Tharranay Lagi Yak Ba Yak Halq E Buridaan Se Sada Anay Lagi Aayi Awaazay Shah E Deen Jo Sahara Ban Kar Dorhi Maqtal Ki Taraf Binte Shahay Tashna Jigar Rakh Diya Seena E Shabbir Pe Mazloom Ne Sar Lab Pe Tha Haye Pidar Haye Pidar Haye Pidar Kehti Thi Rokay Yahin Hashr Uttha Oongi Mein Ab Tumhay Chor Kay Wapas Nahi Jaoongi Mein Jismay Sheh Se Kabhi Ghabra Kay Nikalay Soofaar Dhoond Thi Thi Kabhi Ghesoo E Shahay Arsh Wiqaar Haath Pehlaaya Ke Lag Jaaye Galay Se Aik Baar Chaahti Thi Kabhi Rukhsaaron Pe Rakhday Rukhsaar Uff Voh Bachi Jo Andheron Mein Sahar Dhoondti Thi Baap Ki Laash Se Lipti Huwi Sar Dhoondti Thi Aah Karti Thi Toh Hil Jaata Tha Maidan E Bala Kehti Thi Rokay Bas Ab Khaak Se Uttho Baba Ronay Waalon Na Suno Tazkira E Jor O Jafa Jis Tarha Bachi Huwi Baap Ke Seenay Se Juda Laash Shabbir Ki Maidan Mein Tharrati Rahi Der Tak Shimr Ke Durron Ki Sada Aati Rahi

Comments