Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб Nooh Narvi Shayari - Wo Kehte Hain Aao Meri Anjuman Mein - Urdu Poetry в хорошем качестве

Nooh Narvi Shayari - Wo Kehte Hain Aao Meri Anjuman Mein - Urdu Poetry 4 года назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



Nooh Narvi Shayari - Wo Kehte Hain Aao Meri Anjuman Mein - Urdu Poetry

Urdu Poetry - Nooh Narvi Shayari Wo Kehte Hain Aao Meri Anjuman Mein - Urdu Spoken Word Poetry Urdu Poetry of Nooh Narvi Urdu Ghazal: Woh Kehte Hain Aao Meri Anjuman Mein Magar Main Wahan Ab Nahin Jane Wala Spoken Word: Raheel Farooq Woh Kehte Hain Aao Meri Anjuman Mein Magar Main Wahan Ab Nahin Jane Wala Ke Aksar Bulaya Bula Kar Bithaya Bitha Kar Uthaya Utha Kar Nikala Urdu Spoken Word Poetry - Nooh Narvi Shayari وہ کہتے ہیں آؤ مری انجمن میں مگر میں وہاں اب نہیں جانے والا کہ اکثر بلایا بلا کر بٹھایا بٹھا کر اٹھایا اٹھا کر نکالا نوحؔ ناروی کی شاعری غزل: وہ کہتے ہیں آؤ مری انجمن میں مگر میں وہاں اب نہیں جانے والا کہ اکثر بلایا بلا کر بٹھایا بٹھا کر اٹھایا اٹھا کر نکالا نشاط و الم کے سفید و سیہ نے ہماری نگاہوں کو حیرت میں ڈالا ادھر روشنی ہے ادھر تیرگی ہے کہیں ہے اندھیرا کہیں ہے اجالا مرا درد پوچھا مرا حال دیکھا مرے دل کا ارمان تم نے نکالا خدا اور بھی دے زیادہ مراتب سوا اور اس سے بھی ہو بول بالا پڑی نیو آپس میں گو دوستی کی مگر دوستی کس طرح نبھ سکے گی اسے ہے نزاکت مجھے ہے نقاہت نہ وہ آنے والا نہ میں جانے والا شوالے کی جانب قدم کیوں بڑھاؤں نظر کس لئے سوئے مسجد اٹھاؤں ادھر کہہ رہا ہے ادھر سن رہا ہے کوئی کہنے والا کوئی سننے والا ہمیں پر ہوئیں کیا ہزاروں جفائیں ہزاروں پر آئیں ہزاروں بلائیں زمانے میں کوئی سنبھلنے نہ پایا کسی شوخ نے ہوش جب سے سنبھالا وہ آئے تھے پہلو میں بے ہوش تھا میں ہوئی ہوگی دل پر بہت کچھ نوازش مگر کیا خبر مجھ کو اللہ جانے تمنا نکالی کہ کانٹا نکالا ہزاروں بلا نوش ادھر بھی ادھر بھی ملی اتنی فرصت کہاں مے کدے میں رہا کام پینے پلانے سے سب کو نہ دھوئی صراحی نہ ساغر کھنگالا محبت کے جوگی ستم کے بروگی وفا کے بھکاری جفا کے پجاری جہاں دیکھ پاتے ہیں جلوہ بتوں کا بچھاتے ہیں اپنا وہیں مرگ چھالا چرا لے گیا کوئی دل بھی جگر بھی اڑا لے گیا کوئی صبر و سکوں بھی یقیں ہے تمنا نکلتے نکلتے نکل جائے گا عاشقوں کا دوالا وطن سے نکل کر اکیلے چلے تھے مگر خوش یقینی کے قربان جائیں ملا دشتِ غربت میں اک اک قدم پر ہمیں اک نہ اک جان پہچان والا فغاں کی بھی امداد حاصل کروں میں محبت کو بھی کچھ توجہ دلاؤں بھرم جذبِ دل کا نکلنے نہ پائے نکل آئے پردے سے وہ پردے والا غضب ڈھا گئیں سیدھی سادی ادائیں ستم کر گئیں ترچھی بانکی نگاہیں یہی شور اٹھا جدھر سے وہ گزرے مجھے مار ڈالا مجھے مار ڈالا ادھر طور پر غش میں موسیٰ پڑے ہیں ادھر ہاتفِ غیب یہ کہہ رہا ہے ذرا کھولیے آپ آنکھیں تو اپنی قریب آ گیا دیکھیے دور والا یہ مطلب تھا ارمان اس کے نہ نکلیں جو تڑپیں تو کچھ اور پیچیدگی ہو مرے خانۂ دل میں رنج و الم نے تنا ہر طرف خوب مکڑی کا جالا تمھارا ثنا خواں تمھارا دعا گو تمھارا فدائی تمھارا سلامی یہ کیا کہہ دیا اس نے واقف نہیں ہم وہی ہاں وہی نوحؔ طوفان والا wo kahte hain aao meri anjuman mein magar main wahan ab nahin jaane wala Nooh Narvi vo kahte haiñ aao mirī anjuman meñ magar maiñ vahāñ ab nahīñ jaane vaalā ki aksar bulāyā bulā kar biThāyā biThā kar uThāyā uThā kar nikālā nashāt-o-alam ke safed-o-siyah ne hamārī nigāhoñ ko hairat meñ Daalā idhar raushnī hai udhar tīrgī hai kahīñ hai añdherā kahīñ hai ujālā mirā dard pūchhā mirā haal dekhā mire dil kā armān tum ne nikālā ḳhudā aur bhī de zyāda marātib sivā aur is se bhī ho bol-bālā paḌī niiv aapas meñ go dostī kī magar dostī kis tarah nibh sakegī use hai nazākat mujhe hai naqāhat na vo aane vaalā na maiñ jaane vaalā shivāle kī jānib qadam kyuuñ baḌhā.ūñ nazar kis liye sū-e-masjid uThā.ūñ idhar kah rahā hai udhar sun rahā hai koī kahne vaalā koī sunñe vaalā hamīñ par huiiñ kyā hazāroñ jafā.eñ hazāroñ par aa.iiñ hazāroñ balā.eñ zamāne meñ koī sambhalne na paayā kisī shoḳh ne hosh jab se sambhālā vo aa.e the pahlū meñ behosh thā maiñ huī hogī dil par bahut kuchh navāzish magar kyā ḳhabar mujh ko allāh jaane tamannā nikālī ki kāñTā nikālā hazāroñ balā-nosh idhar bhī udhar bhī milī itnī fursat kahāñ mai-kade meñ rahā kaam piine pilāne se sab ko na dhoī surāhī na sāġhar khañgālā mohabbat ke jogī sitam ke birogī vafā ke bhikārī jafā ke pujārī jahāñ dekh paate haiñ jalva butoñ kā bichhāte haiñ apnā vahīñ mirg-chhālā churā le gayā koī dil bhī jigar bhī uḌā le gayā koī sabr-o-sukūñ bhī yaqīñ hai tamannā nikalte nikalte nikal jā.egā āshiqoñ kā divālā vatan se nikal kar akele chale the magar ḳhush-yaqīnī ke qurbān jaa.eñ milā dasht-e-ġhurbat meñ ik ik qadam par hameñ ik na ik jān-pahchān vaalā fuġhāñ kī bhī imdād hāsil karūñ maiñ mohabbat ko bhī kuchh tavajjoh dilā.ūñ bharam jazb-e-dil kā nikalne na paa.e nikal aa.e parde se vo parde vaalā ġhazab Dhā ga.iiñ sīdhī-sādī adā.eñ sitam kar ga.iiñ tirchhī bāñkī nigāheñ yahī shor uTThā jidhar se vo guzre mujhe maar Daalā mujhe maar Daalā idhar tuur par ġhash meñ muusā paḌe haiñ udhar hātif-e-ġhaib ye kah rahā hai zarā kholiye aap āñkheñ to apnī qarīb aa gayā dekhiye duur vaalā ye matlab thā armān us ke na nikleñ jo taḌpeñ to kuchh aur pechīdgī ho mire ḳhāna-e-dil meñ rañj-o-alam ne tanā har taraf ḳhuub makḌī kā jaalā tumhārā sanā-ḳhvāñ tumhārā duā-go tumhārā fidā.ī tumhārā salāmī ye kyā kah diyā us ne vāqif nahīñ ham vahī haañ vahī 'nūh' tūfān vaalā #UrduPoetry #Classic #Shayari

Comments