Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео




Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



Royi Bahut Yateem Sakina Nasheb Mein || Arzan Haider || Sankhni Shabbedari 2024 ||

Royi Bahut Yateem Sakina Nasheb Mein || Arzan Haider || Sankhni Shabbedari 2024 || #arzanhaidernohay 4th Daur || 24th Safar 1446/2024 Majlis E Aza & Shabbedari Sankhni Title : Royi Bahut Yateem Sakina Nasheb Mein Reciter : Arzan Haider Original Reciter - Abbas Ali Arfi Poet & Composition - Janab Waiz Sultanpuri sb ➽Subscribe➽    / samarabbassamru   🔔 Stay Updated ! Follow us on Social Media - Facebook-  / azadarivideo.  . You Tube-   / samarabbassamru   Instagram-  / samar_abb_as   Instagram-  / samarabbassamru   Follow the Samar Abbas Samru channel on WhatsApp: https://whatsapp.com/channel/0029Va8o... Lyrics : Sunsaan ban wo raat wo uthta huwa dhuwan Nikli padar ko dhoondne nanhi si ek Jan Kahti thi baba Jaan batado ke ho kahan Ek laash bol uthi meri beti main hun yahan Lekar isi sada ka sahara paoch gai Rote huwe nasheb me dukhya pahoch gai Besar jab apne baap ko dekha nasheb me Roi bahot yateem sakeena nasheb me 1 Maqtal me lash bap ki jab sar kati mili Thi umr char saal ki bachi tarap gayi Beti jab apne baap ko pehchan na saki Awaz ya abaa ki yateema ne roke di Lasha ghareeb baap ka bola nasheb me 2 Likha hai rawiyo ne wo manzar bada ajeeb Jangal wo kali raat wo ghurbat wo gham naseeb Awaz sunke baap ki pohchi hai jab qareeb Halat padar ki dekh ke royi bohat ghareeb Beti ke sath baap bhi roya nasheb me 3 Age badhi hussain ki mazloom ghamzada Teero se jism bap ka dekha bhara hua Ghabra ke teer jism se karne lagi juda Kamsin thi koi teer na us se nikal saka Paya na jab hussain ka seena nasheb me 4 Khali na pai jism pe teeron se koi jaa Karne lagi tawaf wo baba ki laash ka Mayoos ho ke paiti paithi wo gam zada Rukhsar apna baap ke talwon pe rakh diya Lekar padar ke paaun ka bosa nasheb me 5 Apne padar ki laash pe Le le ke siskiyan Wo apna dard baab se karne laghi bayan Rukh par bani thi saaf Jo zalim ki ungliyan Bachi ne jab dikhaye tamachon ke wo Nishan Zakhmi badan husain ka tadpa nasheb me phir ye kehne lagi ro ro ke yateema baba Mere baalon ko sitamgar ne jo pakda baba Mara zalim ne mujhe aisa tamacha baba Chha Gaya meri nigahon me andhera baba 6 Kahti thi Mai yateemi hun mujhpar na waar kar Ki minnaten bahot ki Zara intezaar kar Mai de Rahi thi shimr ko bunde utaar kar Chhine hain be rahem ne magar mujhko maar kar Ye dard jab padar ko sunaya nasheb me 7 Waiz likhe ga kaun yateema ki bekasi Lashe shahe Zaman se wo jis dam juda huwi Lagta tha ab jiye gi na Bachi husain ki Jane lagi nasheb se jab shah ki ladli Baba ko apne chor ke tanha nasheb me #samarabbassamru #sankhniazadari2024 #anjumansadateamroha #sadateamroha #amrohaazadari #buknalasadat #buknalaazadari #chholasazadari #cholassadat #cholasazadari #arzanhaider #yateemsakina #abbasaliarfi .

Comments