Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб yeh boale Hazrate Abbas aake Sarwar se - Old Nauha from Lucknow в хорошем качестве

yeh boale Hazrate Abbas aake Sarwar se - Old Nauha from Lucknow 4 года назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



yeh boale Hazrate Abbas aake Sarwar se - Old Nauha from Lucknow

yeh boale Hazrate Abbas aake Sarwar se - Old Nauha from Lucknow Kalaam: Syed Wirasat Ali Rizvi (Fikr* Lucknowi) Nauhakhawn: Janab Afzal Mirza - Urf Pape Nawab =========== yeh boale Hazrate Abbas aake Sarwar se ke sabr ho nahiN sakta hai ab iss ahqar se haiN bachche tashna dahaani se jaan balab Maula sadaae al'atash aati hai, khaimon ke dAr se jo izne jUng nahiN, laane deejiye paani ke meiri pyaari Sakeena na aab ko tarse yeh sunke Hazrate Shappeer ne jhukaaya sAr samajh li bhaai ki marzi, sukoote Sarwar se utha ke mashko alam, aur aur leike eik naizah chala dileir raza paate hi baraadar se bhaga ke fauje sitam, aur bhar ke naher se mashk suey khayaam phire laRte fauje akfar se thi mashk doash par aur dast'e raast meiN naizah jo ek laeen ne kiya usspa waar khanjar se sambhaala mashko alam baaeiN haath se leikin tamaam fauj ki thi jUng ek dilaawar se bil_aakhir usspa bhi talwaar ek shaqi ki paRi lahoo ka bah gaya darya taney mutaahar se magar thi koshishe Abbaas, paani bAch jaaey ke surkhuroo hooN pilakar maiN binte Sarwar se dabaa ke daaNtoN meiN tasma, baRhe thEy aap abhi ke aa ke teer paRa lashkare sitamgar se idhar tO mashk chidi, dhaar nikli paani ki ek aah sard udhar nikli qalbe muztar se kuch aur aage baRhe thEy, ke sAr pa gurz paRa khitaab karke kaha tab Jari ne Sarwar se ke jaan apni fida ki ghulaam ne Maula dua hai seir hooN ab deed'e rooe anwar se sada yeh sUnke, kamar thaam ke chale Hazrat yeh kahte jaate thEy ro ro ke Shaah, Akbar se kidhar se aai nida, jald le chalo beita ke marte waqt galey mil looN, maiN baraadar se gharaz ke pahoNche tO ghaltaaN thEy khoon meiN Abbas na deikhi jaati thi haalat jari ki Sarwar se utha ke sAr rakha zaanu pa, aur roake kaha agar ho koi tamanna, kaho baraadar se kahaa yeh Hazrat'e Abbas ne ke aey aaqa tha dil meiN shauq'e ziyaarat, magar muqaddar se ek aankh teer se zakhmi hai, aur doosri par jama hai khoon nikalkar, shigaafta sAr se aba ka daaman utha kar woh khooN ShAh'e deen ne chuRaaya dasht meiN ro ro ke dast'e athar se rukh'e Hussain ko hasrat se deikhkar ek baar qareeb apne bulaakar kaha yeh Akbar se mujhe yaqeeN hai pas'e qatl, fauj'e Koofa o Shaam kareiNgi be_adabi jism'e Shaahe safdar se sipurd karke meri laash, ibne Saad ko tum meri taraf se yeh kah deina, baaniye shAr se eiwaz Hussain ke paamaal kar de laash meri ke roaz'e hashr khijaalat na ho Payamber se khitaab ShAh se kiya phir, ke meire laashe ko huzoor uthaaeiN na lillaah iss jagah pAr se kiya tha waada Sakeena se, paani laane ka hooN sharmsaar maiN Aaqa ki pyaari dukhtar se yeh kahte kahte sidhaare suey jinaaN Abbas Hussain roaey lipat kAr tan'e baraadar se dua karo bAs ab aey Fikr* tUm ke ya Abbas Qareeb qabr miley rauzaey munawwar se ================ Please Comment / Like / Share / Subscribe. You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from: https://archive.org/details/BayaazOfO... Please Like my Official Facebook Page :   / oldnohay   #OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics

Comments