Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб To Faiz, With Love | A Tribute To Mujhse Pehli Si Mohabbat | Kavivaar episode 22 в хорошем качестве

To Faiz, With Love | A Tribute To Mujhse Pehli Si Mohabbat | Kavivaar episode 22 4 года назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



To Faiz, With Love | A Tribute To Mujhse Pehli Si Mohabbat | Kavivaar episode 22

Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang, aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā lauT jaatī hai udhar ko bhī nazar kyā kiije ab bhī dilkash hai tirā husn magar kyā kiije mujh se pahlī sī mohabbat mirī mahbūb na maañg Toh ab lagta hai ki koi pooche Ki aisa kya hua faiz, kis baat ne pareshan kiya, tumne haath kya uthaa liya mohabbat se, mohabbat ne kitno par haath utha diya. Ache khaase kaam kaaji ghar jaa baithe, Aur nikkamon ne likh likh kar itna naam kamaa liya. Toh koi pooche ki aisa kya hua faiz, jo jawaani milti hai barbaad hone ko, usme khamkhan kyun aazad ho gaye. Do baatein ki, chaar sher likhe, humein toh le doobe,aur khud aabad ho gaye! Kuch toh hua hoga, Kuch dekha hoga nazro ne, Nahi toh kiisi ne kuch kahaa zaroor hoga. Dil badaa tha tumhara,mushkil tha kisi gair ka saari mohabbat loot kar le jaana, Dil mein chor tumhare bhi rahaa zaroor hoga. Toh koi pooche ki aisa kya hua faiz, Jo doobe rehte the kabhi, Kyun dhasne, jhatpataane lage baahon mein unki. Apni ek, unki ek, dhadkanon ki chaadar buni Jhatke se udhed kar phir kyun chale gaye Saanson se unki Tum kehte ho nazar laut gayi tumhari, chalo ye bhi maana, Jab kisi ke zakhm nasoor ban gaye honge, Zameer dukhne lagaa hoga Shabd chil gaye honge Imaan jhukne lagaa hoga Tab nazrein tair gayi hongi sanam ki aankhon mein, yun ashk kinaara kar gaye, tum ishq mein phir padh gaye ki gir padhe, tum ro diye, tum rone se katraate the, haste the haalaton par tum has kar bhi pachtaate the. Kis baat ne hairan kiya? Makhmal mein lipti laashon ne, bachi khuchi kuch saanson ne, insaano ne,haivano ne, murda si nanhi jaano ne! Kis baat ne hairaan kiya? Mazhab aur dharm ne jab baant liya insaano ko, Kaat diya, do tukdo mein, aur naam diya shaitano ko Wo bande nahi the Allah ke, wo kafir the Bhakt nahi wo bhatke huye musafir the. Khuda parast logo ko jab khuda nahi milaa toh unhone dil chota kar liya. Chote dilon se mohabbat nahi hui Aur unhone kya kiya mohabbat ko maar diya. Zubaan kheech li, Shabd kaat diye, Soch raundh di, jism baant diye. Kuchal kar chale gaye jazbaat saare, pair mohabbat pe bhi padh gaya! Phir kehte kya na karte faiz, tumne bhi inkaar kiya. Jaise the, zinda toh the ye ishq wishq bekaar kiya. Badi zillat hai ishq mein, badi himmat karni padti hai, Itni itni Khushiyon ki bhi Keemat bharni padti hai. Tumhari hi tarah mujhe bhi kabhi raas nahi aayi mohabbat Kabhi koi apna hota hai toh farz mohabbat, Kabhi maang li gair se toh karz mohabbat. Kabhi haal chaal poochne ke peeche sawaal mohabbat. Kabhi jawaab mein haan sunne ka khwaab mohabbat. Mohabbat na hui, museebat ho gayi. Maine kinaara toh kar liya par Kabhi haseen aankhon ke ishaare, kabhi kisi hothon ke sahaare Ik tarfa mein jeet gaye Kabhi dono tarfon se haare. Haar gaye. Zamaane ke ranj o gham ne haraaya. mohabbat hui bhi toh mili nahi, mili toh badi der se, Jab mili tab tak Ye jaahil apni mashookaon ko sab de aaye. Chand ke tukde kar diye Saare taare de aaye Phool noch kar le gaye Saari bahaarein de aaye Dhoop bhar le gaye jebon mein Baarishein unke naam kar di Inn kambakhto ne pee pee ke Sharaab bhi haraam kar di Aashiqui mausiki shayri Lafzon ka dher lagaa aaye ye Ab zyada se zyada wo bhi Kya karti, Na kar deti na? Mere hisse ki zillat bhi utha aaye ye. Toh kuch isliye bhi khuda khairat mein chand log de diya karta hai, Kyunki wo samajhta hai, Wo samajhta hai ki aashiqui jitni mehnat gar khuda apne har rishte mein karwaaye toh tek tek kar izhaar e mohabbat mein miya uske bando ke ghutne ghis jaayein. Toh ye jaan lo ki din kam hain aur log bohot, umr bhar ka saath nahi nafrat ko kya chahiye, Do baatein kaafi hain Par mohabbat har kisi ke bas ki baat nahi. Tum jao, ek umr padhi hai aage nibhaane ko Par shayad main na kar paun ye sab kabhi kyunki mohabbat ke saare farz, saare dard, saare shauk ek baar milein toh hi jaayaz lagte hain. Kyun likha maloom nahi par kya khoob likha hai faiz, Mujhse pehle si mohabbat mere mehboob na maang, Mujhse pehle si mohabbat mere mehboob na maang."

Comments