Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб kya islam mein sirf 2 eid hain deobandi molana iliyas ghumman ke eid meelad ke aeteraz ka jawaab в хорошем качестве

kya islam mein sirf 2 eid hain deobandi molana iliyas ghumman ke eid meelad ke aeteraz ka jawaab 5 лет назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



kya islam mein sirf 2 eid hain deobandi molana iliyas ghumman ke eid meelad ke aeteraz ka jawaab

kya islam mein sirf 2 eid hain deobandi molana iliyas ghumman ke eid meelad ke aeteraz ka jawaab by munazir e ahle sunnat hazrat allama mufti modassir raza barkati sahab qibla Kya Islaam Mein Sirf Do Eid Hain❓❓ Kuch Log Kehte Hain Islaam Mein Sirf 2 Eid Hain Yeh Eid Milaad Un Nabi ﷺ Kaha Se Aaya?? Ye sawal Sirf wohi puchega jo Ilm se bahot door ho. Kabhi Hadeesen hi na padha ho. Khair fir bhi Hadees me hi iska jawab mulahiza farmaiye: HADEES 1 Hazraat Ibne Abbas Radiallahu Talaa Anhu farmate hain ki Juma bhi Eid hai aur Yaum-e-Arfa bhi Eid hai. (Tirmizi, Abwaabut Tafseer, H.no.965) 📚Scan Page sabit hua yani Arfa ka din bhi Eid Hain Ye bhi to Eid ka din hai na?? HADEES 2 Hazrat Ibn Abbas radiAllaho ta'ala anhu se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe wasallam ke farman ke mutabiq Juma ka din bhi Musalmano ki Eid hai. (Ibn Maja H.no. 1098) 📚Scan Page Lo Yani ab to saal me har hafte hi Eid hai, fir sirf 2 Eidon ka masla hi nahi raha. To sabit hua ki jis din ALLAH ki koi khas nemat nazil hoti hai har wo din Momineen ke liye Eid ka din hai. Aur Eid ke laghvi mane bhi sirf khushi ke hote hain. yani Khushi ke din ko hi Arbi me eid kehte hain. . Jab ye sabit ho gaya ki Har Juma bhi eid hai to batao, ✍Jumma Ke Din Musalmaan Ke Liye Eid Ka Din Isliye Hain Kyu Ki Us Din Adam alahisalaam Paida Hue Jis Din Adam Alahisalaam Paida Hue Us Din Eid Ho Sakti Hain Jo Sarkar do Alam ﷺ Paida Hue Us Din Eid Kyu Nahi Ho Sakti? HADEES 3 Juma’a ka Din Eid ka Din NABI e Mu’ajjam, Sarapa Judo karam صلى الله تعالى عليه واله وسلم ne farmaya ki Juma’a ka din sab dino ka sardar hai, ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur woh ALLAH ke nazdik Eidul Azha aur Eidul Fitr se bada hai. isme 5 khaslate hai. 1. ALLAH ne isi me Hazrate AADAM alaihissalam ko paida kiya 2. Isi me Zameen par unhe utara 3. Isi me Unhe wafat di. 4. Isi me ek ghadi aisi hai ki banda jab sawal kare tou use mil jaye siway haram ke 5. Isi din Kayamat kaim hogi Koi mukarrab farishta wa aasman wa zameen aur hawa wa pahad aur dariya aisa nahi ki juma’a ke din se darta na ho. [ki isi me kayamat kaim hogi] [Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, Hadith No. 1084] Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Aadam alaihissalam ke liye bayan ki gai, jisme aap ki wafat ka bhi zikr hai, tou pata chala ki ek nabi ki paidaesh, unka zameen par utarna, aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’amino ke liye ALLAH ne use Eid bana diya. Ki woh din Eidul Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kar diya. Tou hamare Sarkar e do Jahan صلى الله تعالى عليه واله وسلم jho ki tamam ambiya ke sardar hai, unki tashrif aavari par hum us din ko kyun Eid na kahe, balke hum tou use Eido ki Eid kahenge, ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur har hafte me ek eid karke pure saal me 52 Eido (juma) ka tohfa mila woh isi rahmatalil aalamin ki tashrif aavari se mila hai. Tou hum kyun us din khushi na kare!! Tum farmao, “ALLAH hi ki fazal aur usi ki rahemat - aur usi par chahiye ki khushi kare”; woh unke sab dhan-daulat se behtar hai [Sura Yunoos, Surah 10, Ayaah 58] Aey AADAM agar me (ALLAH) is Muhammad ko paida na karta tou me kisi ko paida na karta. [Ukhrajul Tibrani fi al mo’ajamul Sagir, 2/182, Hadith No. 64] [Mo’ajamul Ausat, 6/313, Hadith No. 992] [Walhismi fi Mo’ajamul zawaed 8] Kya Saal me sirf do Eiden hain ❓❓ DALEEL 1 Aitraz Saal me sirf 2 Eid (Eid-ul-Fitr, Eid-ul-Azha) hi Eid hoti hain, Sunniyon ne ye teesri eid kahan se bana liya? Is aitraz se lagta hai ki mukhalifeen ko Eid ka matlab hi nahi malum., Aaiye pahle ham Lughat se Eid ka matlab sabit karte hain. . Arbi ki mashhur Lughat Al-MAwrid me Eid ke 4 maane likhe hain, Dawat, Dawat ka din, Tyohar, Chhutti ka din. (Al-Mawrid Pg.788) 📚Scan Page DALEEL 2 Urdu ki mashhur Dictionary, Firozul Lughat me eid ke teen maane likhe hain, 1: Jo bar bar aaye, 2: Musalmano ke jashn ka roz, 3: Nihayat khushi. (firozul Lughat Pg.488) 📚Scan Page: Sabit hua Eid ke maane to bas Khushi ke hote hain, aur har khushi ke din ko Eid kehte hain. To kya Mukhalifeeen saal me bas 2 din hi khush rehte hain, baaqi din kya maatam karte hain ? for more videos on Radde wahabi please subscribe our youtube channel Radde Wahabi Network    / aarifwaghoo  

Comments