Русские видео

Сейчас в тренде

Иностранные видео


Скачать с ютуб Qisas ul Anbiya - Hazrat Ibrahim (a) ka Qissa - Story of Prophet Ibrahim in Urdu - IslamSearch в хорошем качестве

Qisas ul Anbiya - Hazrat Ibrahim (a) ka Qissa - Story of Prophet Ibrahim in Urdu - IslamSearch 10 лет назад


Если кнопки скачивания не загрузились НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru



Qisas ul Anbiya - Hazrat Ibrahim (a) ka Qissa - Story of Prophet Ibrahim in Urdu - IslamSearch

Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) ka Boot Parasti se Inkar Karte hue Allah ki Raah me Apna Ghar aur Rishte Chorrna. Aaj hum Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ka ziqr karege. Ibrahim (Alaihay Salam) Allah taala ke khaleel (dost) they. aap ko Yahoodi, Isayi (Nasara) aur yahaa tak ki Makkah ke Mushriq bhi apna peshwaa (Imam) mante they. lekin Allah taala ne Quran me irshaad farmaaya ke, “Ibrahim (Alaihay Salam), na Yahood they, na nasara the aur na hi Mushriq they woh to Muslim the aur ek so ho kar Ek Akele Allah taala ki ibaadat karne wale they.” Islam ya Deen-e-Mohammedi asal me Deen-e-Ibrahim hai. Ibrahim (Alaihay Salam) iraq me paida huwe, unke waalid ka naam Aazar tha. dosto yahaa par thoda sa ikhtilaafat hai, ke aazar, Ibrahim (Alaihay Salam) ke waleed they ya chacha (uncle). khair, woh shaahi boot khaano ka muhaafiz (hifaazat karne wala) aur booto ko banaa kar becha karta tha. Ibrahim (Alaihay Salam) ko ibtidaa (shuru) hi se boot parasti se nafrat thi. ek din andheri raat me unhone ek sitaara (star) dekha to kahaa, “Kya ye mera Rab hai ?” , Phir jab woh sitaara doob gaya to kahaa, “Main doobne wale ko pasand nahi karta.” Pir jab unhone Chaand (moon) ko dekha to kahene lage “Ye mera Rab hai ?” , fir jab woh bhi doob gayaa to kahene lage, “Agar mere Rab ne meri Rehnumaayi na ki tou main Gumraaho me se ho jaunga.” Phir jab Suraj (sun) ko jagmagaata huwaa dekha to kahaa, “Ye mera Rab hai ?, ye bahut bada hai.” is taraha Allah Subhanahu taala unhe apni nishaaniyo ka mushaahidaa karwa raha tha ya dikha raha tha, phir jab woh suraj bhi doob gayaa to kahene lage, “Aye Meri Qoum bilaasubha mai tumhaare tamaam shariko se bezaar hoon, main to bas uss hi Rab ki ibaadat karta hoon, jisne Zameen aur Aasmaan ko paidaa kiya aur jo saare jahaan ka Rab hai.” Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ko aag me jalane ka hukm: Ab aag ka alaaw tayyar kiya gayaa aur usme kayee dino tak aag ko dahekaaya gayaa aur us jalti huyee aag me Ibrahim (Alaihay Salam) ko daala gayaa. usi waqt Allah taala ki rehmat josh me aayee aur Allah taala ne aag ko huqm diya, “Aye aag tu Ibrahim (Alaihay Salam) par salaamati waali ho ja, thandi ho ja.” aur wo aag bhi Ibrahim (Alaihay Salam) ko jalaa na saki aur iss tarhaa Allah taala ne unhe aag se bacha liya. Uss waqt wahaa par Loot (Alaihay Salam) bhi moujood they, jab unhone ye Mojza (karaamat) dekha to fouran Ibrahim (Alaihay Salam) par imaan le aaye. Ibrahim (Alaihay Salam) aur loot (Alaihay Salam) Namrood se bachkar Syria (Shaam) ki taraf chale gaye. • Ibrahim (Alaihay Salam) Ka Bibi Hajra Aur Bete Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Sunsaan Waadi Me Tanha Chorr Jaana. - • Maa Ki Aulad Ke Liye Bekaraari: - • Aab-e-Zam-Zam Ka Chasma: Bete Ki Qurbani Ka Khwaab: - Shaitan Ko Saat (7) Kankariya Marne Ki Sunnat - Hazrat Ismaayeel (Alaihay Salam) Ke Qurbani Ke Niyat Ke Sabab Allah Taala Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Khalil-Ul-Llah Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Zabi-Ul-Laah Ka Khitaab (Laqab) Ata Kiyaa. - Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Khalil-Ul-Llah Ka Khitab Ata Kiya Gaya: - Khaana-e-Kabaa Ki Tameer Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya Ki – Main Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Dua Hoon,..” Aur Allah Taala Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Ye Duwaa Qabool Farmaayee Aur Aulaad Ismaayeel (Alaihay Salam) Se Nabi Aakhir-Uz-Zamaa Mabwoos (Paida) Huve.. – (Miskhat Sharif). Hazrat Ibrahim (a) Description of Abraham and His Family - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Childhood - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Hatred for Idols - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Discovers Allah - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Reasons with the Celestial Worshippers - Hazrat Ibrahim (a) The Celestial Worshippers Arguments - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Reasons With the Idolaters - Surah 21 - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Reasons With His Father - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Debates With the Idolaters - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Reasons With the Idolaters, Second Time - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Breaks the Idols - Hazrat Ibrahim (a) The Idolaters Question Abraham - Hazrat Ibrahim (a) The Idolaters Try to Burn Abraham - Hazrat Ibrahim (a) The Faith of the Believers - Hazrat Ibrahim (a) The People Reaction to the Fire - Hazrat Ibrahim (a) Abrahams Dialogue with Namrud - Hazrat Ibrahim (a) Abraham Emigrates - Hazrat Ibrahim (a) Hadith About Abraham #IslamSearch #Story_Prophet_Ibrahim #ProphetStories #QuranicStories #QuraniQissa #IslamicStory #IslamiKahani #QuranicStory #IslamiWaqia #IslamicKahaniyan #MuslimKahani #ProphetStory #UrduIslamicKahani #IslamicStoriesinUrdu #QisasulAnbiya #AnbiyakiKahani #AnbiyakaQissa #AmbiyaKahani #AmbiyaQissa #QuranQissa #QuranStory #HazratlutStory #hazratlut #lutWaqia #IbrahimQissa, #QissaHazratIbrahim #StoryProphetIbrahim #StoryIslam #IslamStory #HazratIbrahimStory #HazratIbrahimWaqia #HazratIbrhaimQissa #QissaIslam #QisasulAmbiya #AmbiyakaQissa #HazratIbrahim #ProphetIbrahim #ProphetIbrahimStory #StoryProphetIbrahim #HazratIbrahimQissa #HazratIbrahimWaqia #HazratIbrahimStory #IbrahimStory #Prophet

Comments